Sirajuddin Zafar

uTho zamane ke aashob ka izala karen

Sirajuddin Zafar

Jhelum, Punjab, Pakistan

1912-1972
uTho zamāne ke āshob kā izāla kareñ
ba-nām-e-gul-badnāñ ruḳh sū-e-piyāla kareñ
ba-yād-e-dīda-e-maḳhmūr pur-piyāla kareñ
uTho ki zahr kā phir zahr se izāla kareñ
vo rind haiñ na uThā.eñ bahār kā ehsāñ
varūd ham tirī ḳhalvat meñ be-havāla kareñ
kahāñ ke dair o haram aao ek sajda-e-shauq
bapā-e-hosh-e-rubāyān-e-bast-sāla kareñ
baras paḌe jo gulistāñ meñ us nazar se sharāb
bahak bahak ke ham aage subu-e-lāla kareñ
subū uThā ki gadāyān-e-kū-e-mai-ḳhāna
tire havāle mah-o-mehr kā qabāla kareñ
hadīs-e-zohd ho yā vārdāt-e-zahra-misāl
kisī ke naam ko ham zeb-e-har-maqāla kareñ
dikhā sahīfa-e-ruḳh is tarah ki ahl-e-bahār
varaq varaq ba-ḳhajālat bayāz-e-lāla kareñ
uTho jalā ke mai-e-surḳh se charāġh-e-abad
nashāt-e-sohbat-e-shab ko hazār-sāla kareñ
adā vo nīchī nigāhoñ kī hai ki jaise 'zafar'
talāsh-e-kunj-e-ġhazālān-e-ḳhurd-sāla kareñ
Top Urdushayar.com