Sirajuddin Zafar

ai ahl-e-nazar soz hamin saz hamin hain

Sirajuddin Zafar

Jhelum, Punjab, Pakistan

1912-1972
ai ahl-e-nazar soz hamīñ saaz hamīñ haiñ
aalam meñ pas-e-parda-e-parvāz hamīñ haiñ
ai jabr-e-mashiyat ba-hama be-par-o-bālī
ab bhī hai jinheñ himmat-e-parvāz hamīñ haiñ
ḳhush haiñ ki nahīñ us sitam-ārā kā sitam aam
nāzāñ haiñ ki us ke hadaf-e-nāz hamīñ haiñ
vo anjuman-e-nāz-e-butāñ ho ki sar-e-dār
jis samt se guzre haiñ sar-afrāz hamīñ haiñ
dekheñ jo kisī aur taraf bhī vo sar-e-bazm
maqsūd-e-nigāh-e-ġhalat-andāz hamīñ haiñ
ai shāhid-e-ma.anī saf-e-shīrīñ-suḳhanāñ meñ
hai koī agar shā.ir-e-tannāz hamīñ haiñ
ai jān-e-'zafar' 'hāfiz'-o-'sādī' kī qafā meñ
ab vāris-e-mai-ḳhāna-e-shīrāz hamīñ haiñ
Top Urdushayar.com