shāyad ruḳh-e-hayāt se sarke naqāb aur
bhar do mire subū meñ sharāb-e-gulāb aur
hogī mire subū se numūd-e-hazār-sub.h
ubhreñge is ufuq se abhī āftāb aur
aatī hai kū-e-dār-o-rasan se sadā hanūz
aa.e idhar jo hai koī ḳhāna-ḳharāb aur
maḳhmūr-e-bū-e-zulf na ā.eñge hosh meñ
chhiḌke abhī nasīm-e-bahārāñ gulāb aur
ai vārisān-e-satvat-parvez hoshiyār
dāmān-e-vaqt meñ haiñ abhī inqalāb aur
aa.ī 'zafar' jo raat zabāñ par hadīs-e-dost
nāgāh baḌh ga.ī mire jauhar kī aab aur