Sirajuddin Zafar

yarab sarab-e-ahal-e-hawas se najat de

Sirajuddin Zafar

Jhelum, Punjab, Pakistan

1912-1972
yārab sarāb-e-ahal-e-havas se najāt de
mujh ko sharāb de unheñ āb-e-hayāt de
aa ham bhī raqs-e-shauq kareñ raqs-e-mul ke saath
ai gardish-e-zamāñ mere hāthoñ meñ haat de
apnā subū bhī ā.ina-e-jam se kam nahīñ
rakheñ jo rū-ba-rū ḳhabr-e-shash-jihāt de
ai dast-e-rāz markab-e-daurāñ hai sust-rau
lā mere haath meñ rasan-e-kā.enāt de
kuchh to khule ki kyā hai pas-e-parda-e-hayāt
koī patā to ā.ina-e-husn-e-zāt de
ai dost is zamān-o-makāñ ke azaab meñ
dushman hai jo kisī ko duā-e-hayāt de
uTh rahguzar se ai dar-e-mai-ḳhāna ke gadā
masnad pe baiTh faisla-e-kā.enāt de
is mauja-e-surūr kī hai aarzū 'zafar'
jo tab.a ko ravāni-e-nīl-o-farāt de
Top Urdushayar.com