Sirajuddin Zafar

din ko bahr-o-bar ka sina chir kar rakh dijiye

Sirajuddin Zafar

Jhelum, Punjab, Pakistan

1912-1972
din ko bahr-o-bar kā siina chiir kar rakh dījiye
raat ko phir pā-e-gul-rūyāñ pe sar rakh dījiye
dekhiye phir kyā damakte haiñ gul-andāmān-e-shahr
ik zarā un meñ mohabbat kā sharar rakh dījiye
āhuvān-e-shab gurezāñ hoñ to un kī raah meñ
dām-e-dil rakh dījiye dām-e-nazar rakh dījiye
but-parastī kījiye is shiddat-e-ehsās se
sañg meñ bhī juzv-e-ehsās-o-ḳhabar rakh dījiye
zohd agar jang-āzmā ho khīñchiye shamshīr-e-shauq
husn agar madd-e-muqābil ho sipar rakh dījiye
rāhat-e-jān-e-'zafar' haiñ shāhidān-e-be-hunar
rauñdne ko un ke qadmoñ meñ hunar rakh dījiye
Top Urdushayar.com