Sirajuddin Zafar

maine kaha ki tajziya-e-jism-o-jaan karo

Sirajuddin Zafar

Jhelum, Punjab, Pakistan

1912-1972
maiñ ne kahā ki tajziya-e-jism-o-jāñ karo
us ne kahā ye baat supurd-e-butāñ karo
maiñ ne kahā ki bahār-e-abad kā koī surāġh
us ne kahā ta.āqub-e-lāla-e-ruḳhāñ karo
maiñ ne kahā ki sarf-e-dil-e-rā.egāñ hai kyā
us ne kahā ārzū-e-rā.egāñ karo
maiñ ne kahā ki ishq meñ bhī ab mazā nahīñ
us ne kahā ki az-sar-e-nau imtihāñ karo
maiñ ne kahā ki aur koī pand-e-ḳhush-gavār
us ne kahā ki ḳhidmat-e-pīr-e-muġhāñ karo
maiñ ne kahā ham se zamāna hai sar-garāñ
us ne kahā ki aur ise sar-garāñ karo
maiñ ne kahā ki zohd sarāsar fareb hai
us ne kahā ye baat yahāñ kam bayāñ karo
maiñ ne kahā ki hadd-e-adab meñ nahīñ 'zafar'
us ne kahā na band kisī kī zabāñ karo
Top Urdushayar.com