Sirajuddin Zafar

shauq raaton ko hai darpai ki tapan ho jaun

Sirajuddin Zafar

Jhelum, Punjab, Pakistan

1912-1972
shauq rātoñ ko hai darpai ki tapāñ ho jā.ūñ
raqs-e-vahshat meñ uThūñ aur dhuāñ ho jā.ūñ
saath agar bād-e-sahar de to pas-e-mahmil-e-yār
ik bhaTaktī huī āvāz-e-fuġhāñ ho jā.ūñ
ab ye ehsās kā aalam hai ki shāyad kisī raat
nafas-e-sard se bhī sho.ala-ba-jāñ ho jā.ūñ
lā surāhī ki karūñ vahm-o-gumāñ ġharq-e-sharāb
is se pahle ki maiñ ḳhud vahm-o-gumāñ ho jā.ūñ
vo tamāshā huuñ hazāroñ mire ā.īne haiñ
ek ā.īne se mushkil hai ayaañ ho jā.ūñ
shauq meñ zabt hai malhūz magar kyā ma.alūm
kis ghaḌī be-ḳhabar-e-sūd-o-ziyāñ ho jā.ūñ
aisā andāz-e-ġhazal ho ki zamāne meñ 'zafar'
daur-e-ā.inda kī qadroñ kā nishāñ ho jā.ūñ
Top Urdushayar.com