Sirajuddin Zafar

mausam-e-gul tere inam abhi baqi hain

Sirajuddin Zafar

Jhelum, Punjab, Pakistan

1912-1972
mausam-e-gul tire in.aam abhī baaqī haiñ
shahr meñ aur gul-andām abhī baaqī haiñ
aur khil jā ki ma.ārif kī guzargāhoñ meñ
pech ai zulf-e-siyah-fām abhī baaqī haiñ
ik subū aur ki lauh-e-dil-e-mai-noshāñ par
kuchh nuqūsh-e-sahar-o-shām abhī baaqī haiñ
Thahar ai bād-e-sahar is gul-e-nau-rasta ke naam
aur bhī shauq ke paiġhām abhī baaqī haiñ
uTTho ai shab ke ġhazālo ki sahar se pahle
chand lamhāt-e-ḳhush-anjām abhī baaqī haiñ
intizār ai dil-o-dīda ki hazāroñ asrār
saa.e kī tarah tah-e-jām abhī baaqī haiñ
khol kar kījiye tashrīh-e-sar-e-misra-e-zulf
is navishte meñ kuchh ib.hām abhī baaqī haiñ
ai sahī-qad tirī nisbat se sab ūñchī qadreñ
bāvajūd-e-ravish-e-ām abhī baaqī haiñ
ham meñ kal ke na sahī 'hāfiz'-o-'ḳhayyām' 'zafar'
aaj ke 'hāfiz'-o-'ḳhayyām' abhī baaqī haiñ
Top Urdushayar.com