Sirajuddin Zafar

dar-e-mai-KHana se diwar-e-chaman tak pahunche

Sirajuddin Zafar

Jhelum, Punjab, Pakistan

1912-1972
dar-e-mai-ḳhāna se dīvār-e-chaman tak pahuñche
ham ġhazāloñ ke ta.āqub meñ ḳhutan tak pahuñche
haath mai-ḳhvāroñ ke be-qasd uThe the lekin
ittifāqan tire gesū kī shikan tak pahuñche
madrase meñ kahāñ us zulf kā mauzū-e-jadīd
log pahuñche to rivāyāt-e-kuhan tak pahuñche
rāsta ek thā ham ishq ke dīvānoñ kā
qad-o-gesū se chale dār-o-rasan tak pahuñche
aa.eñ ham dast-darāzī pe to maiḳhāne se
silsila anjuman-e-sarv-o-saman tak pahuñche
ik qabā-e-subuk-o-tang meñ sau sau haiñ tilism
kyā koī husn ke asrār-e-kuhan tak pahuñche
aap hī aap jo khul jaa.e tirī zulf-e-darāz
nā-gahāñ be-hunarī nuqta-e-fan tak pahuñche
ai suḳhan-fahm ham us bazm se aa.e haiñ jahāñ
hairat ā.īna-e-uslūb-e-suḳhan tak pahuñche
is tarah shauq-e-ġhazālāñ meñ ġhazal-ḳhvāñ ho zafar
shohrat-e-mushk-e-ġhazal shahr-e-ḳhutan tak pahuñche
Top Urdushayar.com