Sirajuddin Zafar

saghar uTha ke zohd ko rad humne kar diya

Sirajuddin Zafar

Jhelum, Punjab, Pakistan

1912-1972
sāġhar uThā ke zohd ko rad ham ne kar diyā
phir zindagī ke jazr ko mad ham ne kar diyā
vaqt apnā zar-ḳharīd thā hañgām-e-mai-kashī
lamhe ko tuul de ke abad ham ne kar diyā
dil pand-e-vā.izāñ se huā hai asar-pazīr
us ko ḳharāb-e-sohbat-e-bad ham ne kar diyā
tasbīh se subū ko badal kar ḳhudā ko aaj
bālā-tar az-shumār-o-adad ham ne kar diyā
baada thā yā urūs-e-firāsat thī jaam meñ
jo kah diyā bahak ke sanad ham ne kar diyā
misroñ meñ gesuoñ kī fasāhat kā bhar ke rañg
apnī har ik ġhazal ko sanad ham ne kar diyā
tashbīh de ke qāmat-e-jānāñ ko sarv se
ūñchā har ek sarv kā qad ham ne kar diyā
Top Urdushayar.com