aur khul jā ki ma.ārif kī guzargāhoñ meñ
pech ai zulf-e-siyah-fām abhī baaqī haiñ
ik subū aur ki lauh-e-dil-e-mai-noshāñ par
kuchh nuqūsh-e-sahar-o-shām abhī baaqī haiñ
Thahar ai bād-e-sahar us gul-e-nau-rasta ke naam
aur bhī shauq ke paiġhām abhī baaqī haiñ
ai harīfān-e-subū gosh-bar-āvāz raho
dāman-e-vahī meñ ilhām abhī baaqī haiñ
tuul khīñch ai shab-e-mai-ḳhāna ki sab kār-e-siyāh
ba-hama lazzat-e-iqdām abhī baaqī haiñ
aur abhī rauñdā nahīñ ai kaf-e-pā-e-tahqīq
dil meñ sau tarah ke auhām abhī baaqī haiñ
ai sahī qad tirī nisbat se sab ūñchī qadreñ
bāvajūd-e-ravish-e-ām abhī baaqī haiñ
ham meñ kal ke na sahī 'hāfiz'-o-'ḳhayyām' 'zafar'
aaj ke 'hāfiz'-o-'ḳhayyām' abhī baaqī haiñ