Mukarram Husain Awan Zamzam

bala ka shor-o-fughan hai nihan KHamoshi mein

Mukarram Husain Awan Zamzam

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1979
balā kā shor-o-fuġhāñ hai nihāñ ḳhamoshī meñ
maiñ khul ke sāmne aayā huuñ parda-poshī meñ
nigāh-e-adl se dekheñ to mīr-e-mahfil ke
jalāl-o-māl muāvin haiñ aib-poshī meñ
maiñ tan huuñ shah-e-rag-e-jāñ ko mujhe bachānā hai
chalā huuñ jānib-e-kashmīr sarfaroshī meñ
jis imbisāt se suqrāt pī gayā thā jaam
use yaqīn thā amrit hai zahr-noshī meñ
ye kyā ki zo.am-e-qazāvat meñ qaid kar liyā hai
koī to aib nikāleñ janāb doshī meñ
tumhārī aañkh se miltā hai jo zamāne ko
kahāñ surūr hai aisā sharāb-noshī meñ
yatīm-e-tāza ko ye nāgavār guzregī
azā kī baat na kar rasm-e-tāj-poshī meñ
Top Urdushayar.com