Mukarram Husain Awan Zamzam

ek wahi KHush-jamal thoDi hai

Mukarram Husain Awan Zamzam

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1979
ik vahī ḳhush-jamāl thoḌī hai
husn vāloñ kā kaal thoḌī hai
tazkira be-vafā kā ho rahā hai
ye tumhārī misāl thoḌī hai
ye jo hijrat hai aarzī hai janāb
mustaqil intiqāl thoḌī hai
dard-e-hijrāñ ne ye kiyā sābit
har kisī ko zavāl thoḌī hai
kyuuñ tujhe shāmil-e-darūd karūñ
to mohammad kī aal thoḌī hai
tujhe apnā samajh ke māñgā hai
har kisī se savāl thoḌī hai
kyā zarūrī hai sab zabāñ se kahūñ
chashm-e-pur-nam kā haal thoḌī hai
ye mohabbat rahegī mahshar tak
ek shab kā visāl thoḌī hai
aañkh bhar ke vo dekhtā hai mujhe
is kā matlab visāl thoḌī hai
jaao naḳhvat tumheñ mubārak ho
husn vāloñ kā kaal thoḌī hai
hijr kā mashvara mufīd hogā
dost hai bad-sigāl thoḌī hai
bose ab lenā chhoḌiye sāhab
gul hai ye us kā gaal thoḌī hai
un kī nazar-e-karam meñ shāmil huuñ
is meñ merā kamāl thoḌī hai
use andhā bhī dekh saktā hai
ye badar hai hilāl thoḌī hai
ḳhaak miTTī tale dabā.ī ga.ī
ruuh kā intiqāl thoḌī hai
ḳhvāb chubhte rahe haiñ āñkhoñ meñ
rañg vaise hī laal thoḌī hai
fikr lāhiq hai rozī-roTī kī
mujh ko terā ḳhayāl thoḌī hai
saañs ūñchā luuñ maiñ madīne meñ
merī itnī majāl thoḌī hai
us se bachnā muhāl hai yaaro
mere dushman kī chaal thoḌī hai
dil ko Thokar zarā sī lag ga.ī hai
is kā matlab zavāl thoḌī hai
chhīn saktā nahīñ koī mujh se
ilm hai ye manāl thoḌī hai
saare ushshāq shaad phirte haiñ
ye barahman kā saal thoḌī hai
jab bhī chāho uThā do 'zamzam' ko
ye faqīroñ kā baal thoḌī hai
Top Urdushayar.com