havāoñ kā jo shah-par boltā hai
hamāre ghar kā chhappar boltā hai
vahī manzar-ba-manzar boltā hai
ġhazal chehra badan bhar boltā hai
falak sahrā samundar boltā hai
tilism-e-ḳhvāb shab-bhar boltā hai
ka.ī fāqoñ kā maz.har boltā hai
shikam-parvar jo patthar boltā hai
ḳhamoshī oḌh letā hai falak-bhar
kabhī vo shaḳhs aksar boltā hai
kabhī karte haiñ sajde chāñd-tāre
kabhī muTThī meñ kañkar boltā hai
pighaltī jā rahī hai barf saarī
tabāhī kā samundar boltā hai
maiñ apne aap se kartā huuñ bāteñ
ki ḳhud mujh se mirā ghar boltā hai
pahan letā hai vo jo kuchh bhī 'saifī'
bahut us ke badan par boltā hai