Muneer Saifi

samundar dasht par but kaTti hai

Muneer Saifi

Sasaram, Bihar, India

1953
samundar dasht par but kāTtī hai
musībat ko musībat kāTtī hai
chhupā.ūñ sar to khul jaatā hai paañv
zarūrat ko zarūrat kāTtī hai
zamīñ kartī hai bāteñ āsmāñ se
yahāñ har shai kī qīmat kāTtī hai
maza fōt-pāth kā pūchho na yaaro
imārat kī mujhe chhat kāTtī hai
faqīrī meñ hai itnā lutf yaaro
ki mujh ko bādshāhat kāTtī hai
ġhanīmat jāniye jañgal meñ basnā
hameñ ab ādamiyat kāTtī hai
buzurgoñ kā kahā kab mānte haiñ
ki bachchoñ ko nasīhat kāTtī hai
badan meñ chubhtī haiñ nazroñ kī kircheñ
use logoñ kī niyyat kāTtī hai
huā huuñ is qadar badnām 'saifī'
mujhe ab merī shohrat kāTtī hai
Top Urdushayar.com