aks-dar-aks tamāshā kyā hai
aa.ina aa.ina jhūTā kyā hai
koī aatā koī jaatā kyā hai
raat aur din kā tamāshā kyā hai
jis tarah aap ga.e chupke se
koī duniyā se yuuñ jaatā kyā hai
maanā duniyā hai baḌī ḳhuub baḌī
dil kī bastī se kushāda kyā hai
ye tah-e-ḳhāk hai kaisā mahshar
koī mazlūm taḌaptā kyā hai
mor phir naach rahe haiñ har-sū
giit jharnā koī gaatā kyā hai
merī muTThī meñ hai phir bhī 'saifī'
merī muTThī meñ zamāna kyā hai