mausamoñ meñ huī hai sāzish phir
dhuup meñ ho rahī hai bārish phir
ab to baaqī hai samt-e-mamnūā
mere talvoñ meñ jaagī ḳhārish phir
har taraf hai ajiib tārājī
dil meñ aa.ī sipāh-e-dānish phir
rañg-o-roġhan bhī muskurāne lage
ḳhush bahut hai mirī rihā.ish phir
āḌī-tirchhī lakīreñ raushan hoñ
kuchh to ho sūrat-e-nigārish phir
dekhiye kis taraf ko jaatā hai
hai qalandar kī āzmā.ish phir
zahr-ālūd ḳhushbueñ haiñ 'munīr'
kī havā ne guloñ se sāzish phir