Muneer Saifi

lab pe harf-e-motabar rakhta hai wo

Muneer Saifi

Sasaram, Bihar, India

1953
lab pe harf-e-mo'tabar rakhtā hai vo
baat karne kā hunar rakhtā hai vo
ek ālī-shān ghar rakhtā hai vo
phir bhī ḳhud ko dar-ba-dar rakhtā hai vo
ek apnī hī nahīñ haiñ uljhaneñ
kitne ġham-hā-e-digar rakhtā hai vo
uḌ rahā hai jo khule ākāsh meñ
aane vaale kal kā Dar rakhtā hai vo
sar se pā tak chīḳhtī sannāTagī
apne andar ik khañDar rakhtā hai vo
Thokaroñ meñ us kī hai sultāniyat
peT par patthar magar rakhtā hai vo
dil jalā ke jaane kī kī yaad meñ
shaam kī dahlīz par rakhtā hai vo
dil ke paañv Daal dī zanjīr-e-aql
nafs ko yuuñ maar kar rakhtā hai vo
rāt-bhar chehra ḳhudā kī yaad meñ
āñsuoñ se tar-ba-tar rakhtā hai vo
khoyā rahtā hai kitāboñ meñ magar
shahar-o-sahrā kī ḳhabar rakhtā hai vo
aadmī se ho ga.ī haiñ nafrateñ
ghar meñ jañgalī jānvar rakhtā hai vo
jhiil laḌkī mor titlī gul havā
ḳhvāb kī dīvār par rakhtā hai vo
ek naqsh-e-pā zamīñ par hai 'munīr'
dūsrā aflāk par rakhtā hai vo
Top Urdushayar.com