aql ke jaal meñ phañsī hī nahīñ
zindagī aaj tak khulī hī nahīñ
mujh meñ jiitā rahā sadā koī
zindagī apnī maiñ ne jī hī nahīñ
saḳht itnī anā kī thī dīvār
phir kisī bhī tarah girī hī nahīñ
maiñ ne duniyā sameT lī to khulā
kaam kī koī chiiz thī hī nahīñ
chāñd ke saath ho ga.ī ruḳhsat
jaise vo is jahāñ kī thī hī nahīñ
jis se sairāb ruuh ho jaatī
aisī bārish kabhī huī hī nahīñ
saiñkaḌoñ zaḳhm haiñ zamāne ke
dil meñ yādoñ kī ik anī hī nahīñ
qaid āñkhoñ meñ hai bayābāñ bhī
ġham ke kuuze meñ ik nadī hī nahīñ