dasht-dar-dasht chamaktā rahā dariyā kaisā
tujh ko dhoka huā ai dīda-e-bīnā kaisā
jagmagāte hue shahroñ ko bhalā kyā ma.alūm
chachahātā hai daraḳhtoñ pe saverā kaisā
dosto chhāñv ghanī dekh ke Thahrā na karo
bhāgte abr ke TukḌe kā bharosā kaisā
karbalā gher ke baiThī haiñ yazīdī faujeñ
bil-muqābil hai husain aaj akelā kaisā
raat jab dastakeñ darvāze pe detī hai 'munīr'
kāñpne lagtā hai dil ḳhauf se merā kaisā