Muneer Saifi

ye saat-e-rangini-e-afkar rahegi

Muneer Saifi

Sasaram, Bihar, India

1953
ye sā.at-e-rangīnī-e-afkār rahegī
tā-umr yuuñ hī garmī-e-bāzār haigī
ḳhushbū-e-hadīs-e-lab-o-ruḳhsār rahegī
kal itnī javāñ zulf-e-shab-e-tār rahegī
dīvāngī jo be-dar-o-dīvār rahegī
galiyoñ meñ to zanjīr kī jhankār rahegī
chhat kāġhzī miTTī kī ye dīvār rahegī
bārish kī ināyat to lagātār rahegī
duniyā meñ yūñhī raunaq-e-pindār rahegī
kāñdhoñ pe mire sar hai to dastār rahegī
sūkhā huā patta to havāoñ meñ uḌegā
dhartī kī taraf shāḳh-e-samar-dār rahegī
sūraj mirī nas nas meñ pighalne lagā yaaro
phir dil pe ġham-o-dard kī yalġhār rahegī
chaTTān ke kaT jaane kā imkān bahut hai
paanī kī isī tarah jo raftār rahegī
bārish ke darīchoñ se chamakne lagī bijlī
'saifī' ye ghanī shab sahar-āsār rahegī
Top Urdushayar.com