Muneer Saifi

shab-e-visal tulua aaftab kaise hua

Muneer Saifi

Sasaram, Bihar, India

1953
shab-e-visāl tulūa āftāb kaise huā
zamīñ pe itnā baḌā inqalāb kaise huā
sitāra mū-e-badan ruḳh gulāb kaise huā
tumhārā jism havas kī kitāb kaise huā
laboñ se kaam burish kā liyā gayā hogā
ki añg añg tirā mehr-tāb kaise huā
zarūr laḌkiyāñ paanī meñ tairtī hoñgī
nahīñ to saarā samundar sharāb kaise huā
kahāñ se aa ga.e ḳhushiyoñ ke bāvre panchhī
ki mujh pe band har ik ġham kā baab kaise huā
ye kis ne chhīn lī bīnā.ī āsmānoñ se
zamīñ ke jism pe nāzil azaab kaise huā
kisī ne yaad ke kañkar zarūr pheñke haiñ
ḳhamosh jhiil meñ ye iztirāb kaise huā
ise samajhne ko ik umr chāhiye jānāñ
'munīr' asl meñ terā ḳharāb kaise huā
Top Urdushayar.com