ai āsmāñ karam itnā zamīn par kar de
sameT le sabhī tārīkiyāñ sahar kar de
kisī se qissa-e-shahr-e-tilism kah na sakūñ
ilāhī be-his-o-be-nutq-o-be-basar kar de
tamām-umr ham ek dūsre se mil na sakeñ
safar judā.ī kā itnā tavīl-tar kar de
hanūz chīr-haran kā hai silsila jaarī
koī krishn-kanhaiyā ko ye ḳhabar kar de
ye ḳhushbuoñ kī qabā gul kī chhāñv us ke liye
'munīr' ke liye maḳhsūs dopahar kar de