Muneer Saifi

mera dil bhi muamma ho gaya hai

Muneer Saifi

Sasaram, Bihar, India

1953
mirā dil bhī muamma ho gayā hai
bharī-mahfil meñ tanhā ho gayā hai
baḌā āsān jiinā ho gayā hai
garāñ phir lamha lamha ho gayā hai
jo rotā thā mire zaḳhmoñ pe yaaro
vo ā.īna bhī andhā ho gayā hai
nazar aatā nahīñ insān koī
hamārā shahr sahrā ho gayā hai
koī bhī shai qarīne se nahīñ hai
ajab dil kā gharauñdā ho gayā hai
mirā ghar muntazir hai raushnī kā
zamāne meñ saverā ho gayā hai
kahāñ hai ġhair jānib-dār koī
adū saarā zamāna ho gayā hai
shab-e-ġham muḳhtasar hone lagī hai
marīz-e-hijr chañgā ho gayā hai
falak par āj-kal hī aise-vaise
ġhurūb apnā sitārā ho gayā hai
jise maiñ qatl kar aayā thā 'saifī'
vahī ab mujh meñ zinda ho gayā hai
Top Urdushayar.com