Muneer Saifi

jo bhigi raat to aaseb ke lashkar nikal aae

Muneer Saifi

Sasaram, Bihar, India

1953
jo bhīgī raat to aaseb ke lashkar nikal aa.e
kisī dīvār se āñkheñ kisī se sar nikal aa.e
chhuTī jo dhuñd to kitne hī sūrat-gar nikal aa.e
ki manzar ke pas-e-manzar ka.ī manzar nikal aa.e
sulagtī ret phūloñ kī tarah bistar nikal aa.e
bahut mumkin hai sahrā meñ bhī koī ghar nikal aa.e
ugiiñ vīrāniyāñ kamre meñ chhat meñ dar nikal aa.e
mirī dīvāngī ke phir se bāl-o-par nikal aa.e
ḳhamoshī phail kar jañgal ho aur phir shāḳh-e-sargoshī
mirī tanhā.iyoñ kī jhiil ke uupar nikal aa.e
khaḌī thiiñ donoñ jānib niil meñ paanī kī dīvāreñ
ki jo ahl-e-asā the beach se ho kar nikal aa.e
jalan yādoñ kī us ke tan-badan meñ aisī raushan ho
ki vo bārish meñ kamre se khulī chhat par nikal aa.e
kahīñ raḳhna zarūr ahbāb kī sāzish meñ thā 'saifī'
ki ham phir halqa-e-girdāb se bach kar nikal aa.e
Top Urdushayar.com