zindagī dekh le kuchh der tamāshā apnā
TūTtā jaatā hai āvāz se rishta apnā
do-ghaḌī ko bhī kisī ne mujhe kāñdhā na diyā
umr-bhar Dhotā rahā ḳhud hī janāza apnā
nasb har shaḳhs nazar aatā hai chaurāhe par
aadmī bhuul gayā bhiiḌ meñ rasta apnā
kitnī sadiyoñ se huuñ anjān safar meñ 'saifī'
aaj tak maiñ ne to ghar bhī nahīñ dekhā apnā