Muneer Saifi

wafa ka tana-bana DhunDhta hai

Muneer Saifi

Sasaram, Bihar, India

1953
vafā kā tānā-bānā DhūñDhtā hai
na jaane kyā divāna DhūñDhtā hai
havas us kī falak se bhī hai ūñchī
vo tāroñ kā ḳhazāna DhūñDhtā hai
ghanī chhāñv pakaḌ letī hai paañv
musāfir dil Thikānā DhūñDhtā hai
kisī ke sāmne vo sar jhuke kyā
jo terā āstāna DhūñDhtā hai
uḌe panchhī ḳhalā meñ jitnā ūñchā
zamīñ par āb-o-dāna DhūñDhtā hai
ḳhirad se hogī dil kī pāsbānī
ki tīr-e-dil nishāna DhūñDhtā hai
vo de de kar mujhe zehnī aziyyat
badan par tāziyāna DhūñDhtā hai
vo apnī zaat meñ mudġham hai 'saifī'
use saarā zamāna DhūñDhtā hai
Top Urdushayar.com