talab se bhī kuchh aur ziyāda milā
badan par ġhamoñ kā labāda milā
mujhe har jagah sarfarāzī milī
ki ġham kā mujhe shāhzāda milā
bahut sādgī us ke bachpan meñ thī
javānī kā qissa bhī saada milā
ki be-sāz-o-sāmān thā is liye
mujhe har safar be-irāda milā
zamīñ par tū sau āsmāñ oḌh le
makāñ tujh ko kitnā kushāda milā
rag-e-sañg jab bhī nichoḌī ga.ī
guloñ kā lahū taaza taaza milā
hañsī ko taraste hue lab mile
har ik shakl par ġham kā ġhāza milā