rañgoñ meñ ziist karne kā sāmān de gayā
gul ko mahak mahak ko gulistān de gayā
mahdūd soch thī mirī dīvāroñ meñ paḌī
mere ḳhayāloñ ko na.e vijdān de gayā
chehra dikhā gayā hai mujhe duniyā kā koī
shīsha dikhā ke apnoñ kī pahchān de gayā
dars-e-vafā kī kartā thā tablīġh jo hameñ
paḌhne ko phir ġhamoñ ke vo dīvān de gayā
jaarī huā mahak jo samundar hai palkoñ se
ḳhāmosh āñkheñ thiiñ mirī tūfān de gayā