jalāte ho mirā ghar raakh merī phir uḌāte ho
havā meñ bhar ke merā dard kyuuñ sab ko dikhāte ho
kī hai tadfīn armānoñ kī dil ke apne madfan meñ
bhulāne do ġham-e-dil roz kyuuñ tum yaad aate ho
ki sūraj Duub jaa.e to kaleja kaaT letā hai
añdherā ye bhī zālim aur sham.eñ tum bujhāte ho
mujhe tajvīz karte ho ki ḳhāmoshī ibādat hai
chubhā jo kāñTā ḳhud ko shor phir kyuuñ tum machāte ho
tumheñ to hifz thā shajara mohabbat kā aqīdat kā
hamāre ba.ad ab dars-e-vafā kis ko sunāte ho
ye merī ḳhud-kalāmī hai jo sab ash.ār kahtī huuñ
'mahak' kī bātoñ kā charchā jahāñ meñ kyuuñ machāte ho