Saima Jabeen Mahak

koi KHushbu miTTi se aane lagi hai

Saima Jabeen Mahak

Talagang, Punjab, Pakistan

1986
koī ḳhushbū miTTī se aane lagī hai
zamīñ par vo būñdeñ girāne lagī hai
palaT aa.ī hai phir se sāvan kī bārish
kaḌī dhuup ghar se haTāne lagī hai
mohabbat mohabbat aqīdat aqīdat
ye naġhme suhāne sunāne lagī hai
kahāñ se nikal aa.e haiñ ye patañge
ye kis kis ko bārish jagāne lagī hai
mohalle meñ ḳhāmosh rahtī thī laḌkī
jahāñ saarā sar par uThāne lagī hai
dhanak se lapak kar vo milne lagī hai
gumāñ se bhī ab paar jaane lagī hai
tamāzat ġhamoñ kī jalātī bahut thī
mirī aag bārish bujhāne lagī hai
ye ġhaflat ke parde bhī dil se haTā de
duā lab pe mere ye aane lagī hai
'mahak' aañkh se Tapkā paanī bahut hai
nadāmat se aañsū bahāne lagī hai
Top Urdushayar.com