qusūr sab hai ye nā-mo'tabar alāmat kā
ulajh ke rah gayā mafhūm hī ibārat kā
tumhāre sāmne manzar kahāñ qayāmat kā
azaab sahte kabhī kaash tum bhī hijrat kā
qalam ke saath zabāñ bhī tarāsh lo merī
ye imtihān bhī le lo mirī sadāqat kā
koī sunā.e to aa kar hadīs-e-shab-zadagāñ
abhī bujhā nahīñ sho.ala mirī samā.at kā
mirī hayāt kī vus.at pe ho gayā hai muhīt
vo ek pal jo amiiñ hai tirī rifāqat kā
hai ek dāna-e-gandum kī fitna-sāmānī
yahī hai nukta-e-āġhāz apnī hijrat kā
tabāhiyoñ pe 'qamar' chup haiñ log bastī ke
hai intizār abhī shāyad kisī karāmat kā