vo hairatoñ kī mukammal kitāb likh denā
savāl karne se pahle javāb likh denā
shikast-o-reḳht kā paiham azaab likh denā
vo us kā jāgtī āñkhoñ meñ ḳhvāb likh denā
ajiib tarah batānā hayāt kā mafhūm
vo uñgliyoñ se havā par habāb likh denā
hamāre ghar ke charāġhoñ kā imtihāñ hī sahī
tum āñdhiyoñ ke musalsal azaab likh denā
samundaroñ kī bhī vus.at jo pyaas se kam ho
hamāre ḳhūn-e-jigar ko sharāb likh denā
agar nahīñ shajar-e-sāya-dār rastoñ meñ
saroñ pe jalne hue āftāb likh denā
'qamar' ajiib hai uslūb-e-ḳhāmushī us kā
bas ik nigāh meñ dil kī kitāb likh denā