mub.ham taḳhaiyyulāt ke paikar tarāshnā
hai mashġhala ḳhalāoñ meñ manzar tarāshnā
laḌnā har ek lamha samundar se raat ke
aur ḳhvāb ke jazīre meñ ik ghar tarāshnā
āñkhoñ ko merī aap ne sauñpā hai ḳhuub kaam
jugnū uchhālnā kabhī gauhar tarāshnā
peshāniyoñ pe likhnā ḳhud apnā hameñ nasīb
hāthoñ se apne apnā muqaddar tarāshnā
paiham sulagtī dhuup meñ jalnā tamām din
shab-bhar hasīn ḳhvāboñ ke paikar tarāshnā
kyā ḳhuub lutf dene lagī ḳhud-aziyyatī
achchhā lagā ḳhud apnā hameñ sar tarāshnā
lahje kī narmiyoñ se 'qamar' merā rābta
un ko aziiz tanz ke nashtar tarāshnā