Mirza Farhan Ariz

gham bhala kaise khule us pe hamare wala

Mirza Farhan Ariz

Faisalabad, Punjab, Pakistan

1985
ġham bhalā kaise khule us pe hamāre vaalā
ham to haiñ beach bhañvar ke vo kināre vaalā
ham ne pahnī hai qabā hijr-e-musalsal vaalī
us kā āñchal hai muqaddar ke sitāre vaalā
raat ik phir se guzārī hai kisī vahshat meñ
ek din phir se guzārā hai guzāre vaalā
apne raste pe hī rahtā huuñ maiñ lekin mujh ko
rāsta khīñchtā rahtā hai tumhāre vaalā
ik patañge ne charāġhoñ se kahā hai 'āriz'
pyaar to asl meñ saudā hai ḳhasāre vaalā
Top Urdushayar.com