Mirza Farhan Ariz

dard patjhaD ke sare hamare hue

Mirza Farhan Ariz

Faisalabad, Punjab, Pakistan

1985
dard patjhaḌ ke saare hamāre hue
sab bahāroñ ke mausam tumhāre hue
hasrat-e-dīd le ke hī jaañ se ga.e
shauq-e-dīdār ke jo the maare hue
raas aa.ī na saudāgarī pyaar kī
ham ko is kaam se bas ḳhasāre hue
aa ga.e phir se vo to zad-e-chashm-e-bad
ghar se nikle nazar jo utāre hue
saath us ke jo niklā sar-e-rāh maiñ
jaane kis kis taraf se ishāre hue
ghar to Duubā thā paanī meñ tuġhyānī se
phir bhī rusvā nadī ke kināre hue
kaise pahchān leñ ham kisī ko yahāñ
log haiñ ruup par ruup dhāre hue
jiit kar ham se 'āriz' bahut ḳhush the vo
kitne masrūr the ham bhī haare hue
Top Urdushayar.com