tū mubtalā-e-ishq hai ġham kā nisāb DhūñD
unvān jis kā hijr ho aisī kitāb DhūñD
auroñ kī raushnī pe na rakh tū burī nazar
apnī hī chhat ke nīche koī āftāb DhūñD
koshish ko apnī ek nayā rañg-rūp de
dil ke ujaaḌ baaġh meñ taaza gulāb DhūñD
ye nek hastiyāñ haiñ yahāñ merā kaam kyā
tū mere vāste koī jā-e-ḳharāb DhūñD
yā mujh ko dast-e-yār se paanī kā ghūñT de
yā jo ragoñ ko tar kare aisī sharāb DhūñD
vo jis pe chand roz takabbur rahā tujhe
'āriz' kahāñ gayā tirā zor-e-shabāb DhūñD