Mirza Farhan Ariz

baz auqat mujhko lagta hai

Mirza Farhan Ariz

Faisalabad, Punjab, Pakistan

1985
ba.az auqāt mujh ko lagtā hai
zindagī bas nazar kā dhokā hai
peḌ paude girā diye jis ne
us havā meñ charāġh rakkhā hai
dekh dariyā isī ko kahte haiñ
jo kināroñ meñ rah ke bahtā hai
ik musavvir ko jāntā huuñ maiñ
dasht meñ jo shajar banātā hai
us kī ta.abīr kā banegā kyā
maiñ ne jo ḳhvāb ḳhud tarāshā hai
raushnī ke qarīb jitnā huuñ
qad meñ utnā hī merā saaya hai
kuchh nazāre zarūrī hote haiñ
varna āñkhoñ meñ dard rahtā hai
ham ko milne vo ā.eñge 'āriz'
haañ magar ye ḳhayāl achchhā hai
Top Urdushayar.com