Mirza Farhan Ariz

ek surat to hai jo usne mohabbat ki hai

Mirza Farhan Ariz

Faisalabad, Punjab, Pakistan

1985
ek sūrat to hai jo us ne mohabbat kī hai
baat jazbe kī hai yā baat zarūrat kī hai
vo bhī kaisā hai kasak dil kī samajhtā hī nahīñ
maiñ bhī kaisā huuñ na shikva na shikāyat kī hai
hausla haar diyā jald hī maiñ ne apnā
chhoḌ dene meñ zarā us ne bhī ujlat kī hai
kyā sitam hai ki bahāroñ ke hasīñ mausam meñ
ham parindoñ ne tire shahr se hijrat kī hai
kuchh namī sī mirī āñkhoñ meñ umañD aatī hai
jab kahe koī ki maiñ ne bhī mohabbat kī hai
chāhe saarā hī zamāna hai muḳhālif us kā
phir bhī 'āriz' ne faqat us kī himāyat kī hai
Top Urdushayar.com