apnī aag meñ bhuntī jaa.e buntī jaa.e kafan apnā
goyā isī liye chhoḌā hai chiñgārī ne vatan apnā
jhoñke kuchh be-jān havā ke aate haiñ apne-āp chale
jhuum uThte haiñ chaman ke pañkhe us ko jaan ke fan apnā
ḳhud-rav sabze chheḌ rahe haiñ jañgal ke qānūn ke raag
kab tak baaġh meñ paḌhvā.eñge ḳhutba sarv-o-saman apnā
dariyā-dil hai sāhil merā magar yahāñ har sail-e-balā
saa.il hai ki baḌhā aatā hai phailā.e dāman apnā
mil to jaa.e apne bhañvar ko dariyā ke chakkar se najāt
lekin aah agar rah jā.ūñ ho kar maiñ hama-tan apnā
sham.a kī lau kyā shauq-e-baqā meñ sham.a ko chāTe jaatī hai
ḳhud ko tarastī rah jaatī hai ruuh miTā ke badan apnā
koī 'muhib' āzurda kyuuñ ho merī talḳh-kalāmī se
apnī hī jānib rahtā hai akasr rū-e-suḳhan apnā