mahrūmiyoñ kā ik sabab josh-e-talab ḳhud bhī to hai
sho.ale pe lapkā is tarah jaise koī gul hī to hai
kis vahm kis chakkar meñ ho ḳhud-bīñ bagūloñ dam to lo
siine meñ dil ho bhī kahīñ maanā ki betābī to hai
sūjhe magar kyā sham.a ko apne ujāle ke sivā
har chand zauq-e-dīd kā maidān tārīkī to hai
jhāñkā hai maiñ ne saaz meñ parda haTā kar saaz kā
naġhma nazar aa jā.egā ye aas bejā bhī to hai
har baaġh meñ uḌtā phirūñ har shāḳh par girtā rahūñ
har gul se ḳhushbū chuus luuñ ab ye merī zid hī to hai
hai hai vo shīrīñ jhalkiyāñ kab tak magar sar phoḌiye
dīvār phir dīvār hai hālāñki shīshe kī to hai
phir bhī ye dhun hai mauj se dariyā ko apne naap luuñ
paimāna merā hai ġhalat mujh ko ḳhabar itnī to hai
piitā rahā kyā umr bhar pī kar tamannā kā lahū
kuchh din se merī āstīñ kuchh zer-e-lab kahtī to hai
hotī kahāñ tak mustarad be-bākī-e-dast-e-sabā
khulne lagā band-e-hayā āḳhir shagūfa hī to hai
ta.amīr āḳhir kar liyā hasrat ne ḳhvāboñ kā haram
shaġhl-e-gunah ke vāste ye aaḌ bhī kaafī to hai
mashq-e-ḳhud-āshāmī karūñ sairāb honā siikh luuñ
labrez ḳhud hai tishnagī sāġhar mirā ḳhālī to hai
ab sulh kar bhī leñ 'muhib' tanhā.iyoñ se vahshateñ
vo merā saaya hī sahī ik shai nazar aa.ī to hai