naqqād apne aap kā be-lāg aisā kaun hai
honā mirā ik vahm hai dekhūñ ye kahtā kaun hai
vo āftāb-e-husn hai jalve luTā.e jā.egā
us ko ab is se kyā ġharaz mushtāq kitnā kaun hai
vahdat hai ye bhī dīdanī maiñ huuñ nazar vo raushnī
go ye girah khultī nahīñ ā.īna kis kā kaun hai
maiñ apne gumbad kā makīñ saaya sā dekhā Dar gayā
ab kyā bitā.ūñ kyā sunā jab maiñ ne pūchhā kaun hai
bas ik havā kā pher hai vo bhī havā ho jā.egā
maiñ sochtā rah jā.ūñgā mujh meñ ye mujh sā kaun hai
merī nazar jis par paḌī ik rābtoñ kā Dher thā
phir vo jo apne aap ko kahtā hai tanhā kaun hai
ab fikr is kī kījiye duniyā rahegī yā nahīñ
ab is ko jaane dījiye duniyā meñ kaisā kaun hai
tah kī lagan ik Dhoñg hai bas tairnā aatā nahīñ
tah karne vaalā sat.h ko ye shaḳhs hotā kaun hai
ye bazm-e-dānish hai 'muhib' tasvīr-e-nafs-e-mutma.in
is bazm meñ chūn-o-charā shā.er kī suntā kaun hai