shola-e-shauq kī āġhosh meñ kyūñkar aa.uuñ
ik tamannā huuñ ki miT jā.ūñ agar bar aa.uuñ
ek dāvat huuñ agar un ke laboñ par khelūñ
ek hasrat huuñ agar ḳhud ko mayassar aa.uuñ
har taraf se mujhe kyā ghuur rahī haiñ āñkheñ
ḳhvāb huuñ dīda-e-bedār meñ kyūñkar aa.uuñ
ek aalam huuñ jise bas koī mahsūs kare
koī ma.anī huuñ ki alfāz ke andar aa.uuñ
naqsh-bar-āb sahī kuchh bhī sahī huuñ to sahī
ret kī qaid meñ kyā ḳhud se bichhaḌ kar aa.uuñ
merī pahchān ho shāyad inhīñ zarroñ kī chamak
apne ghar meñ isī ziine se utar kar aa.uuñ
merī āyāt pe īmān na laane vaalo
taab lāoge agar jild se bāhar aa.uuñ
phūñk Dālīñ mire sho.ale ne fazā.eñ saarī
isī dhun meñ ki nazar apne barābar aa.uuñ
le chukā āb-e-baqā tujh se ab ai bahr-e-arab
uḌ ke jaatā huuñ ki ye qarz adā kar aa.uuñ
apne dāman meñ kaho aag sambhālūñ kyūñkar
haath apne to 'muhib' ḳhair se aksar aa.uuñ