Muhib Aarfi

andar to KHayalon ke ho aae KHayal apna

Muhib Aarfi

Ghazipur, Uttar pradesh, India

1919
andar to ḳhayāloñ ke ho aa.e ḳhayāl apnā
ifshā-e-haqīqat se Dartā hai savāl apnā
kāġhaz kī sadāqat huuñ go vaqf-e-kitābat huuñ
safhoñ se ibārat huuñ khulnā hai muhāl apnā
ā.īna hai zaat apnī ma.amūr huuñ jalvoñ se
mastūr hai nazroñ se har chand jamāl apnā
ḳhush hai ki jo TuuTī hai āḳhir koī shai hogī
ḳhud meñ nazar aatā hai shīshe ko jo baal apnā
parde ne kahā mujh ko parde ne sunā mujh ko
naġhma huuñ samajhtā huuñ itnā hī kamāl apnā
ġhunche meñ rahā huuñ maiñ tinke meñ Dhalā huuñ maiñ
kirnoñ kī duā huuñ maiñ sho.ala hai ma.aal apnā
ai ham-nazaro Thahro kyā ho jo barāmad ho
har gosha-e-ḳhalvat se ik naqsh-e-ḳhayāl apnā
tah sat.h tak aa pahuñchī ik mauj na haath aa.ī
kab tak ye muhim āḳhir ab khīñch luuñ jaal apnā
ḳhushbū se 'muhib' khelo kyā uud ko rote ho
is ahd kī nazroñ se maḳhfī hai malāl apnā
Top Urdushayar.com