Muhib Aarfi

usko pa jaun kabhi aisa muqaddar hai kahan

Muhib Aarfi

Ghazipur, Uttar pradesh, India

1919
us ko pā jā.ūñ kabhī aisā muqaddar hai kahāñ
aur uThā luuñ us se dil ye zor dil par hai kahāñ
ghuT ke rah jaa.e na sar hī meñ kahīñ zauq-e-sujūd
maiñ to sar har dar pe rakh duuñ par koī dar hai kahāñ
naġhma-rezī saaz kī bāzīgarī mutrib kī hai
naġhma koī be-navā tāroñ ke andar hai kahāñ
us ke hoñToñ se jhalaktī hai mirī lab-tishnagī
khiñch rahī hai mai kahāñ par aur sāġhar hai kahāñ
maiñ vahāñ rahtā huuñ gunjā.ish jahāñ merī nahīñ
kyā kahūñ kis ghar meñ rahtā huuñ mirā ghar hai kahāñ
ḳhud ko dekhā hai jab un āñkhoñ meñ jhāñkā hai 'muhib'
mujh ko itnā qurb ḳhud se bhī mayassar hai kahāñ
Top Urdushayar.com