ab yahāñ koī nahīñ pahle yahāñ thā koī
jis ke dam se ye makāñ aur makāñ thā koī
dā.era dā.era thā jis se vo markaz na rahā
jab vo thā nuqta-e-be-qibla kahāñ thā koī
nañg-e-maidāñ hai jo ab zīnat-e-maidāñ thā kabhī
ab jahāñ gum huuñ vahāñ pahle ravāñ thā koī
merī shāḳheñ mire patte mujhe sab chhoḌ ga.e
jaise maiñ bā.is-e-yalġhār-e-ḳhizāñ thā koī
yahī saa.e the magar tez thī jab shauq kī lau
fitna-e-dil thā koī āfat-e-jāñ thā koī
huuñ vo lamha ki na mānoge rahūñgā jab tak
na rahūñgā to ḳhayāl aa.egā haañ thā koī
raaz merā na khulegā ye khulegā mire ba.ad
kuchh na thā jis pe muqarrar nigarāñ thā koī
āsmānoñ se tū kyā toḌ ke lā.egā 'muhib'
qaht kyā chāñd ke TukḌoñ kā yahāñ thā koī