be-tahī yahī hogī ye jahāñ kahīñ hoñge
sat.h kāTne vaale sat.h-āfrīñ hoñge
āftāb haT jaa.e jhilmilāne vaale hī
āsmān-e-vīrāñ meñ raunaq āfrīñ hoñge
zindagī manāne ko vahm bhī ġhanīmat haiñ
ham bhī vahm hī hoñge vahm agar nahīñ hoñge
ye jatā diyā āḳhir mujh ko mere ajzā ne
apne aap meñ rahiye varna bas hamīñ hoñge
dil mirā mudabbir hai band-o-bast-e-ālam kā
mas.ale kahīñ ke hoñ faisle yahīñ hoñge
mere saath aa.e haiñ mere saath jā.eñge
hoñ jahāñ qadam mere rāste vahīñ hoñge
vaqt kī savārī par jo rukī huī hogī
fāsle karūñgā tai jo kahīñ nahīñ hoñge
rañg-o-nūr partav haiñ jin kī tāb-kārī ke
tīrgī ke vo jalve kitne dil-nashīñ hoñge
sochiye to sahrā hai Dūbiye to dariyā hai
ek din 'muhib' sāhab jis ke tah-nashīñ hoñge