ḳhirad yaqīñ ke sukūñ-zār kī talāsh meñ hai
ye dhuup sāya-e-dīvār kī talāsh meñ hai
ḳhatā chaman kī ki hai mubtalā-e-lāla-o-gul
bahār sirf ḳhas-o-ḳhār kī talāsh meñ hai
chhalak rahā hai qabā-e-hayā se us kā shabāb
sharāb jur.at-e-mai-ḳhvār kī talāsh meñ hai
vo nuqta huuñ jo bharam hai nuqūsh-e-hastī kā
zamāna kyā mire asrār kī talāsh meñ hai
vo auj huuñ jo ḳhalal hai nizām-e-pastī kā
vo jurm huuñ jo sar-e-dār kī talāsh meñ hai
ḳhas aazmā hai 'muhib' sho.ala-zār bātil se
nayā ḳhalīl hai gulzār kī talāsh meñ hai