kuchh na hone kī haqīqat nahīñ jaanī ya.anī
ham har isbāt pe karte rahe ya.anī ya.anī
tah bhī ik sat.h kī ta.abīr hai sunte the yahī
sat.h par tairne vāloñ kī zabānī ya.anī
mil ga.ī ḳhaak meñ buniyād-e-chaman-zār-e-vajūd
apnī me.arāj ko pahuñchī hama-dānī ya.anī
apne mahmil se nikal aa.e jo mahmil meñ nahīñ
vahshat-e-qais ke haiñ aaj ye ma.anī ya.anī
shor-e-da.avā-e-anal-haq hai ki thamtā hī nahīñ
koī suntā hī nahīñ merī kahānī ya.anī
koī hone se ye kam hai ki hue jaatā huuñ
hai na honā mire hone kī nishānī ya.anī
haar samjhe ho jise dhaar hai lamhoñ kī 'muhib'
rishta-e-umr hai ik aks-e-ravānī ya.anī