mujh ko talab to na.ī duniyā kī hai
rāhbarī naqsh-e-kaf-e-pā kī hai
bādiya-paimā.ī-e-vahshat se tañg
be-ufaqī vus.at-e-sahrā kī hai
hai vahī maujūd jo hai dīdanī
raa.e yahī dīda-e-bīnā kī hai
ghuur rahī hai jise pyāsī nazar
shakl vo mai kī nahīñ miinā kī hai
dil-kashī-e-pech-o-ḳham-e-pairahan
den ḳham-o-pech-e-sarāpā kī hai
zulf-e-pareshāñ ke talavvun meñ bhī
ḳhūbī-e-tamkīñ ruḳh-e-zebā kī hai
mujh se vo hai mujh se ziyāda qarīb
ḳhvāhish-e-qurb us se ziyāda kī hai
yuuñ to kināyoñ kā bhī aadī hai daar
dil kī havas is ke alāva kī hai
naqsh meñ nuqtoñ ke sivā kuchh nahīñ
shakl-garī shauq-e-tamāshā kī hai
sabt 'muhib' us lab-e-jāñ-baḳhsh par
tishna-labī merī tamannā kī hai